tujhe ruswai ka dar hai na aya kar
tujhe ruswai ka dar hai na aya kar
tujhe ruswai ka dar hai na aya kar bichar jana he behtar hai na aya kar
guzar ja ayienay jesa badan le kar yahan her aankh pathar hai na aya kar
kisi shadab kariye men basa khud ko ye dil ujra hua ghar hai na aya kar
mera dukh tujh ko bhi ik din dabo de ga bohat gehra samander hai na aya kar
khushi ki rut men MOHSiN ko mana lena ye fasl-e-deeda-e-tar hai na aya kar
View On WordPress










