Zara yaad kar mere hum nafas, mere dil jo tum pe nisaar tha. Woh darra darra sa jo pyaar tha, tere shokh qadmon ki dhool thi, tere kaafile ka ghubaar tha. Zara yaad kar mere hum nafas ... Maine hamesha chaha ke tum mujhse mohabbat karo, har tarha se kaushish ki. Aisi kaushish jo bikhari kissi maaldaar se ek aana maangne ke liye karta hai lekin shayed meri sada mein hi woh asar na tha. Agar hota to mohabbat na sahi, tumhe mujhse humdardi to ho hi jaati. Mujh mein hi koi kami ho gi jis se main anjaan aur tum ba-khabar thay. Iss liye aaj main tumhe apne ghutan-bhare saath se azaad karti hoon. Ab tumhari qismat ke darwaze khul gaye hain tum per. Maine tumhe kabhi bad-duaa nahi di kyun ke jis dil mein mohabbat rehti ho, wahan duaaein rehti hain. Haan magar kabhi kabhi duaaon mein asar nahi rehta. Meri duaaon mein bhi nahi raha. Kam az kam tumhare maamle mein to yehi huwa. Aur zindagi mein kabhi waqt mile to yeh sochna zaroor ke main yeh kyun likh rahi hoon. Maine tumhe maaf kiya.














