Rantings of a free soul.
If you identify with what we say, then it is up to you to spread the message!
Join us on facebook at facebook.com/sarkashofficial.
Unhain kaisay koi azaad karay?
Jinhain apni ghulaami ka ilm nahi
Koi kaisay unhain sang lay ke chalay
Jo thamay hain apni hi zanjeerain
Majmay say juda, main akela khara
Jaan paoun toh janoun main apni khata
Bas itni khata, jhoot ko jhoota kaha
Jo dil main tha sab sach keh diya!
Gar woh sun sakain toh main bhi kahoon
Ya iss zulmat-kada mai ab chup rahu
Purane dastoor pe natak chalta rahay
Gar mushkil naheen hai rasta naya
Yay barabari ka sabaq hai har kitaab mai raqam
Kon barabar yahan? yay kis ko pata
Koi zalim koi mazloom koi aaqa koi gadaa
Koi arabi koi ajami koi banda toh koi khuda!
Dolat-o-ishrat kisi ko wirsay main mili
Toh kissi ko sabr ki talqeen he kahi
Kia yay sheikh ka hai nizaam, khuda ka naheen
Arfa-o-aala ka dastoor, aur usee ki zameen!
Yay deen ka touq mehz ghareeb per hee kyun?
Kay woh umaraa ka lahoo baha na day kaheen
Soch par paabandi laga detay hain youn
Kay sab baybass haqeeqat jaan lain naa kabhee
Iss pay khamosh rehna hai meri khata
Iss zulm ko sehna hai meri khata
Majmay say juda main akela khara
Jaan paoun toh jaanoun main apni khata
Peeri mureedi kay fasanay chaltay rahain
Bad-batkhtee kay bahanay chaltay rahain
Jo sar uthay, kyun ussi ko saza?
Jo chup na rahay, kyun ussi kee khata?
Woh main hee hoon, dehleez pe para!
Woh main hee hoon, kathehray main khara!
Majmay say juda, main akela khara
Jaan paoun toh janoun main apni khata
Inn ki ankhoun say pattian utaaro zara
In kay adarsh toh sawaro zara
Jab niklain yay jalay ghar doosroun kay
Aainay koh aks apna dikhado zara
Yay thi meri khata, main yay thaa kehnay chala
Majmay say juda mai akela khara