Na apna gum kisiko bata sake
Na jhuth hi muskura sake
Kitne ajeeb hote hai woh pal
Jab apne hi aasuon ko
Dusron ke wajah se na baha sake...
Yeh rishtey naato ki dor bhi na jaane kaise ullajhi hui hai
"Apna maan ke hum sab ke liye khade rehe hai
Ek waqt tu aa zaraa pata to chale yahan koun humme apna maanta hai*
Yeh waqt bhi apna pahiya na jaane kab chalega
Apne apne kehene walo se unka mukhota kab utrayega
Ki koi mille aise zindagi mein
Bina kahe jo jaan sakke kya aasuon ki kahani mein
Ki jab kabhi phir aasu bahe woh khushi ke ho
Aur woh sirf aur sirf apno ke liye ho
Aur woh sirf aur sirf apne ke liye ho.....















